Khwahishein hosh khoye jatee hain Dar ke beech boyey jatee hain Ungleeyon se lahoo tapakney laga Phir bhi kaliyaan puroey jatee hain Kaisa nashaa hai surkh pholon mein Titliyaan un pe soey jatee hain Choorriyaan bholey bisrey bachpan ki Kaisi teesein chubhoyey jatee hain Kuch bhi us ne kaha nehin lekin Aankhein har lamha roey jatee hain Waqt-e-rukhsat khushi ki boondein kyon Mera ghonghat bhigoey jatee hain Mere naina ko hasratein meri Aanso-on mein duboey jatee hain
Delivering Poems Around The World
Poems are the property of their respective owners. All information has been reproduced here for educational and informational purposes to benefit site visitors, and is provided at no charge...
1/17/2021 10:39:08 AM # 1.0.0.396