Khushi Poem by ANJALI KAKATI

Khushi

Khushi
Kya ho tum?
nam us lamhe ka
Jab pahli bar
Meine thi paakdi
Vo titli
Rango bhari
Lal, hari, neeli, aur peeli
Din bhar bhagne ke bad.
Ya ho voh pal
Jab pahli bar
Udte dekha
Apne he saapno ko
Door aasma par
laga kar paanchi ke par.

Khushi
Kya ho tum
Nam us aahsas ka
Jab pahli bar
Chooa tha meine
un baadloo ko
choopke
halke se,
jo aaye the jharookhe se
bina dastak diye
yo hi beghadak?
ya vo saz ho
cheeda tha jo lehro ne
hava ke tarango par
le kar karwato pe karwat?

khushi
kya ho tum
koi lamha ho
ya koi pal?
koi aahsas ho
ya koi saz
tarango par?

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success