Kitni Sudhar Gayi Hai Jindagi Poem by ANJALI KAKATI

Kitni Sudhar Gayi Hai Jindagi

Rating: 5.0

Dekho,
Kitni sudhar gayi hai jindagi...
Na kissi ke aane ka
Intezar hoga...
Na kisi ke jaane ka ghum....
Na dedaar ki talab hogi,
Na koi shikayat ya darkhast...

Sach,
Kitne sudhar gaye hai hum....
Na aadhi raat se karwat badal badal
Subah ki raah dekhenge...
Na sara din kisi hansi ka kano me
Gunjne ka khayal....

Dekho,
Kitni sudhar gayi hai jindagi...
Ab shayad
woh halka meetha dard nahi hoga....
Na hogi pal pal me
Palko ke bheeg jaane ka daar....

Sach,
Kitne sudhar gaye hai hum....
Ab kisi indradhanush ke peeche nahi bhagte....
Na hi bhatkenge marichikao ke beech....

Dekho,
Kitni sudhar gayi hai jindagi....
Ab aazad hai...
Koi bandhan, koi rishta nahi....
Ab na sawan barsenge...
Na bhado tarsenge...
Na kisi begani rah par
Palke becha
Rah takenge....

Sach,
Kitni sudhar gayi hai jindagi....
Kitne sudhar gaye hai hum.....

Monday, March 2, 2015
Topic(s) of this poem: love and loss
COMMENTS OF THE POEM
Ramesh Rai 02 March 2015

Sach, Kitni sudhar gayi hai jindagi.... Kitne sudhar gaye hai hum..... bahut hi achha likha hai aapne. Keep writing.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success