Kidher Ko Jaun Poem by Ayan Ali Dar

Kidher Ko Jaun

MEY kadey ko jaon ya apne ghar ko jaon,
Mai iss kash'ma'kash main hoon ki mai ab kidhar ko jaon



Rootha hai har fard mujhse, hai har koei mujhse naaraz,

Ranjish ka hoon makee'n mai, kahi ro ro ke mar na jaon,



Tarasha hai jisne mujhko, woh shakhs kho gaya hai,
Hoon mai moj-e-darya, yu hi guzar na jaon,

Mey kade ko aya, bas baithe hai tishnagi main,
jo Ghar ka khayal aya, socha sehar ko jaon,

Woh log kya hue hai, woh ehbab kya hue hai,
Tham jate hai kadam mere, malik kidhar ko jaon,

Ayan dil todna kisi ka, aasan to nei hai,
Ghar lout jana hai mujhko par socha sudhar ke jaon..

Wednesday, March 22, 2017
Topic(s) of this poem: loneliness,love and life,readiness,taste,youth
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success