Kuchh Bhi Nahi Poem by shashi kumar

Kuchh Bhi Nahi

sochā nahīñ achchhā burā dekhā sunā kuchh bhī nahīñ

māñgā ḳhudā se raat din tere sivā kuchh bhī nahīñ..

sochā tujhe dekhā tujhe chāhā tujhe puujā tujhe

merī ḳhatā merī vafā terī ḳhatā kuchh bhī nahīñ

jis par hamārī aañkh ne motī bichhā.e raat bhar

bhejā vahī kāġhaz use ham ne likhā kuchh bhī nahīñ

ik shaam ke saa.e tale baiThe rahe vo der tak

āñkhoñ se kī bāteñ bahut muñh se kahā kuchh bhī nahīñ

ehsās kī ḳhushbū kahāñ āvāz ke jugnū kahāñ

ḳhāmosh yādoñ ke sivā ghar meñ rahā kuchh bhī nahīñ

do-chār din kī baat hai dil ḳhaak meñ mil jā.egā

jab aag par kāġhaz rakhā baaqī bachā kuchh bhī nahīñ

Tuesday, July 30, 2019
Topic(s) of this poem: love and life
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
all about feelings
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
shashi kumar

shashi kumar

bihar, india
Close
Error Success