Kya Ban Ke Rahogi Tum Sada Meri? Poem by Shrini Deewana

Kya Ban Ke Rahogi Tum Sada Meri?

Rating: 5.0

Jeevan mein bahar aayee hai jab se aayee ho tum jeevan mein meri,
Mann mein hai khushiyan khili jab se aayee ho tum jeevan mein meri,
Dil mein umangon ke gul khilne lagi jab se aayee ho tum jeevan mein meri,
Samajh paya hoon kya hai mohabbat jab se aayee ho tum jeevan mein meri,
Ab to lagta hai ai sanam mere zinda rehane ke liye zaroorat hai sahara mujhko teri,
Agar milegi mujhko sahara teri to samjhoonga ho gayee hai duniya meri,
Karta hoon mein tumse yeh dua sada banke rehana sanam bas tum meri,
Bas ek baar kehado ai sanam kya banke rahogi tum sada meri?

Jeevan meri thi guzar rahi jisme kabhi na koi chaha thi,
Mere dil mein chaha jagne lagi jab se aayee ho tum jeevan mein meri,
Mein dar badar tha bhatak raha na aati thi kabhi koi manzil nazar,
Mujhe manzil nazar aane lagi jab se aayee ho tum jeevan mein meri,
Mere zindagi thi ek bhanwar kinara nahin aati thi kabhi nazar,
Mujhe kinara nazar aane lagi jab se aayee ho tum jeevan mein meri,
Ab zindagi guzaarne mujko sanam har pal saath chahiye bas teri,
Bas ek baar kehado ai sanam kya banke rahogi tum sada meri?

Tum ho kisi ka humsafar mein bhi hoon kisi ka humsafar,
Phir bhi ab hamare dil mein jagi hai sanam mohabbat agar,
Yeh baat saaf aati hai nazar yeh marzi hai bhagwaan ki yeh marzi hai bhagwaan ki,
Har kadam mein mujhko sanam bas saath chahiye hai teri,
Tumse kuch aur na maangoon mein maangoon mein bas kuch pal teri,
Jab bhi mere aankhein bhar ayee to mujhe chahiye bas kandha teri,
Jab bhi neendh na aaye mujhe mein sona chahoonga bahon mein teri,
Bas ek baar kehado ai sanam kya banke rahogi tum sada meri?

Jab jab yaad teri aati hai aankhein bhar aati hai meri,
Mere behate ashkon ko ponchne mujhe chahiye aanchal teri,
Jab dhoop mein thak jaaoon mein mujhe chahiye saya zulfon ke teri,
Jab maayoos ho jaaoon mein mujhe chahiye hausala baaton ke teri,
Mujhe zindagi guzaarne sanam mujhe saath chahiye bas teri,
Tumse aur kuch bhi na maangoon mein maangon bas mohabbat teri,
Tum subah ho tum shaam ho tum chaand taare ho jeevan ke meri,
Bas ek baar kehado ai sanam kya banke rahogi tum sada meri?


SHRINI “DEEWANA”

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success