Kya Yeh Tere Bas Mein Nahin Hai? Poem by Shrini Deewana

Kya Yeh Tere Bas Mein Nahin Hai?

Rating: 5.0


Tujhse milne ki sochkar machalta hai yeh dil,
Par jab milta hoon mein tujhse ai mere sanam,
Tujhse bichadne ki sochkar tadapta hai yeh dil,
Har pal tere sang rehane ki chahat hai dil mein,
Jab ki mujhko bhi yeh khabar hai yeh mumkin nahin hai,
Phir bhi yeh dil mujhse keha raha hai “Kya yeh tere bas mein nahin hai? ”

Dil machal rahi thi yeh soch kar aaj mujhe milna hai tujhse,
Har ek kshan isi soch mein maine kaatee thi raat bhar,
Jab tu mili to laga mujhe milan ke baad kyon aatee hai judayee,
Who judayee jo de jaati hai dono ke dil mein ek tanhayee,
Dil karta hai har kshan tere saath hi rehana hai mujhko,
Jab ki mujhko bhi yeh khabar hai yeh mumkin nahin hai,
Phir bhi yeh dil mujhse keha raha hai “Kya yeh tere bas mein nahin hai? ”

Dil karta hai sanam sama loon mein tujhe khud mein,
Jahan bhi jaaoon mein le jaaoon apne sang tujhe,
Kabhi hum aur tum ek dujhe se alag na ho paaye,
Zindagi bhar hum dono ek duje ke sang reha jaaye,
Jab ki mujhko bhi yeh khabar hai yeh mumkin nahin hai,
Phir bhi yeh dil mujhse keha raha hai “Kya yeh tere bas mein nahin hai? ”

Tera woh sparsh tera chumban sataati hai mujhko,
Teri woh masoom ada tadpaati hai mujhko,
Tere ungliyon se lee hui angooti ko har pal choomta hoon mein,
Aur tadapta hoon har pal tere saath pane ko mein,
Jab ki mujhko bhi yeh khabar hai yeh mumkin nahin hai,
Phir bhi yeh dil mujhse keha raha hai “Kya yeh tere bas mein nahin hai? ”

SHRINI “DEEWANA”

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success