Kyon? Poem by ANJALI KAKATI

Kyon?

Rating: 2.0

Kabhi hum aapko dhundhte hai.
Kabhi aap humko dhundhte ho.
Bheed me jamane ki
Khoye hai,
Shayad dono kahi.
Ya bandhe huai hai,
Baediyoo se,
Khud ko yo hi.
Phir bhi
Dhundhte hai
Nain aapko
Nirantar
Yo hi.

Kuch hai jo joode rakhta hai
Humko,
Samay ki parato ke pare.
Kuch hai jo bandhe rakhta hai
Aap ke mann se mujhe.
Tamam swachand hone ki
Koshishso se pare.

Hum bhid me kho kar dekh liye.
Bhag kar samay se pehle nikalne
Ki koshish kar liye.
Chip kar tammam pardo ke
Peeche ho liye.
Auur har baar
Khud ko,
Aapko dekhte paya humne.
Har baar
Paya aapko bhi
Yo hi
Khojte huai.
Bheed ko pyyasi aakho se takte huai.
Phir dekh kar humko
Oot me chipte huai.

Kis se chip rahe hai?
Khud se,
kab tak yo hi chipte phirengee?
Dard ke selab me
Yo hi doobte rahenge?

mana,
Ye galat hai,
Aapka mera yo
Benam rishton me joodna.
Ye galat hai,
Beboonyaad se dhadhkano ko
Dil me dhadkana.
Ye galat hai,
Bemanzil rahoo me
Yo sang chalna.
Par phir kyon
Aakhir kyon?

Bheed me aap hi
Humsafar milee?
Kyon
tanha se raaho me
aap hi raahgir mile?
Hum nahi jaante hai..
Kyon
Jab sazde par
Sar zhuke
Toh
Aap hi raab aur aap hi maseeha mile.
-anjali

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success