Ma Ki Yad Poem by Deepanshu vashishtha poei

Ma Ki Yad

Ma tu mujhe bahut yad aati hai
kabhi rulati hai kabhi hasaati hai
Ma to mujhe bahut yad aati hai
ma tu kaisi hai kahaan hai main nahi jaanta
aur maa tujhe pataa hai
main pahali bar likh rha hu
pahli pankti likh rha hu
ma tere liye likh rha hu
ma kya mujhe bhi tu yad karti hai
kya aaj bhi pyar karti hai
fir main likhta hu
ma ki mamta to mahan hai
ma ka pyar sabse balwan hai
MA mujhe wo din yad aata hai
jab mujhe koi marta tha
to tu mujhe wahaan se daantate hua le jati thi
sayad tu mujhe ush ki maar se bchaati thi
ma aaj mujhe koi mar ta ha
to mujhe koi nahi bcha ta hai
tab mujhe rona aata hai
aur tera chehra saamne aata hai
aur tera chehra samjhaata ha
ma ek kam kar na
agla janm bhi apane bete ka hi dena
bete ka dena, bete ka dena
thankyou

Tuesday, August 18, 2015
Topic(s) of this poem: mother and child
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success