Mera Jiwan Poem by mithilesh yadav

Mera Jiwan

Rating: 5.0

Koi padegha, padayega, sabko batayega
isiliye likhta hun... aisa nhi hai

koi sunega, sunayega, sabko batyega
isiliye bolta hun.... aisa nhi hai

koi sabashi dega, Tareef karega, Sabko batayega
Isiliye karm karta hun …… aisa nhi hai

Koi Mahan kahega, gun gayega, Sabko batayega
Isilye dharm manta hun ……… aisa nhi hai

Ye tera anmol tofha mera jiwan
Dharm, karm ka tera aadesh mera jiwan
Seva karna uss mandir ki jissmey tera wash
Sevak dharm, manusya karm ka mera jiwan

Teri kruna, Teri Maya ka pasara ye upwan
Usmey tera Parm srijan manusya jiwan
Tera tujhmey hi mil jaye to safal ho ye jiwan
Sevak dharm, manusya karm ka mere jiwan

Thursday, March 3, 2016
Topic(s) of this poem: life,life and death
COMMENTS OF THE POEM
Aarzoo Mehek 03 March 2016

ye jeevan ik uhaar hai aur jo duniya ke liye jeeta hai wo yunhi apna jeevan vyarth kar raha hai. Jo bhi karo khud ke liye karo us parmatma ko khush karne ke liye. Issi bhi jeevan ki trupti hai. khoobsurat kavita.10

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success