Mere Apne Poem by Rohan Panchmatiya

Mere Apne

Rating: 5.0


Duniya ki iss bheed me,
The mere bas vo apne.
Jinhone saakar karne chaahe,
Mere saare sapne..
Matlab ki iss duniya mein,
Bas unke the saare mere sapne...
Duniya ki iss bheed me,
The mere bas vo apne....

Dsot kahu, Jaan kahu, ya Dhadkan Kahu unhe,
Kyuki mere Jaan toh basti hai, Sirf unme....
Dard ki un rahon mein meri,
Beetain apne saare sapne...
Maa-Baap ke roop mein,
Ishwaar se the wo badhke..
Duniya ki iss bheed me,
The mere bas vo apne....

Janm dekar ke mujpe ehsaan aisa kiya hai,
Jaan bhi luta du unpe,Toh swarg se badhkar mazaa hai...
Anne ki unn aahaton mein meri,
Bichayen rakhi apni palkein,
Meri har saans,
Bas naam hai unke...
Duniya ki iss bheed me,
The mere bas vo apne....

Maa ki roti ke mithaas mein,
Papa ke pyaar bhare vishawas mein,
Zindagi ke dard bhare ehsaas mein,
Thee bas unke pyaar ke nagmein,
Unke sayein ke chaao mein,
Rehna muje toh hai haaq se,
Duniya ki iss bheed me,
The mere bas vo apne...

Bachpaan ki uun badmashiyon mein meri,
Thi laakhon unki muskurahatein,
Unki saari zaruraotn se pehle
Thi meri saari khwahishein,
Kya unke samman se bade,
Hai mere koi sapne?
Duniya ki iss bheed me,
The mere bas vo apne....

Tuesday, January 29, 2019
Topic(s) of this poem: family,father,life,love,mother
COMMENTS OF THE POEM
Vivek kanabar 30 January 2019

Wohooo Classy brodaa🤩👌💪🤗😁

0 0 Reply
???? madeshiya 31 January 2019

बखुभियत से है तेरे सपने, तू चलता जा अपनी राह पर, भूलना मत उन्हें, जो इस भीड़ में है तेरे अपने

0 0 Reply
Jazib Kamalvi 31 January 2019

A good start with a nice poem, Rohan P. You may like to read my poem, Love And Iust. Thank you.

0 0 Reply
Rohan Panchmatiya 31 January 2019

Tysm guys 💞, keep supporting me and my passion

0 0 Reply
Ankush Mishra 30 January 2019

Fabulous bro The last two stanzas are aweseome Great work buddy.

0 0 Reply
Gayatri K 30 January 2019

Awesome...... 😅👌👍❤

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success