maa in saanso ki rawani main
maa in dharkano ki kahani main
iss lahoo ki jawani main
bus tum hi to ho rachi basi
maa tum jo na thi to kuch b naa tha
maa tum jo ho to sab kuch ha
meri zeest ki her ik kahani main
bus tum hi to ho rachi basi
maa meri khushyo ki dhanak ho tum
maa meri umeedo ki kiran ho tum
meri her khuwaishy dilo jani main
bus tum hi to ho rachi basi
maa teri hi dam sy hy meri dunya abbad
maa tery hi dam sy hy mera qalb.o.ruh shaad
meri dhukho sukho ki kahni main
bus tum hi to ho rachi basi
maa sadda yunhi muskurati raho tum
maa koi gham na khao tum
mery labon ki iss rawani main
bus tum hi to ho rachi basi!
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem