Mook Dharti………………….. Poem by sonali kumari

Mook Dharti…………………..

Rating: 5.0


Dharthi humara ghar hai, Kehthe ise hum maa hai, par koya aaj inka samman hai, daav pe laga inka praan hai| kahi na kahi vajah- sabka insaan hai| jaane kaise kaise manav hai, praani ke rup me danav hai| kal tak jo the aagyakari, ban gaye aaj ye attyachari| kar rahi hai bardash prittvi, seh rahi hai attyachar prakritti| sochkar v hairan hai, dekhakar dang reh jane- jaisi haal hai| yu to dharti hai bahut- badi, bahut bhari, par aaj pad rahe hai, dharti ko insaan ke- attyachar bhari| aaj manav bahut hai, par manavta ke nishan nahi, chhoo raha bulandiyon ko vigyan hai, dharti yaha padi lailaaz hai| are attyachari ek pal to, tu banke dekh aagyakaari, hasegi-hariyali se prithvi, khilegi-khushi se prakritti, ek bar tu soch to zara! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! ! !

Friday, July 25, 2014
Topic(s) of this poem: art
COMMENTS OF THE POEM
Rajnish Manga 10 April 2016

पर्यावरण संरक्षण के प्रति हर विवेकशील व्यक्ति की चिंता को प्रतिध्वनित करती आपकी यह कविता प्रशंसा करने योग्य है. कविता के अंत में आशा की एक किरण भी दिखाई देती है. धन्यवाद, सोनाली जी. आपके कुछ शब्द: - jaane kaise kaise manav hai, praani ke rup me danav hai| ....manav bahut hai, par manavta ke nishan nahi,

1 0 Reply
Sonali Kumari 12 April 2016

Thank u sir for ur complmnt n blssngs :)

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success