Murtidoan Ke Naam Poem by mazHur Butt

Murtidoan Ke Naam



Muharrif-e-Haq



her roz nikalta he sooraj
her roz chala bhi jata he
Jis tarah koi shadi shuda
her roz hee kaam pe jaata he
phir shaam dhalay lot aata he
Dono magar rehtay hein wohi
dono mein nahi koi baat nai
yoonhi Isa palat kar aayen gay
aur dunya pe chha jayen gay
suraj bhi rehe ga wohi sada
sartaaj kisi ka na badlay ga
lakh gharro tum taaveelaat
aakhirish khao ge maat
her roz sitaray tootatay hein
Ussee Sooraj ko ham dekhtay hein
badlay gee zameen na asmaan
le lakhoan bhays badal shaytaan.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success