My Friends (In Hindi) Poem by SINGH SINGH

My Friends (In Hindi)

Rating: 4.0


A friend in need is a friend in deed.

Yeh tha mujhe school mein padhaya,
Uss waqt tha mujhe iska matlab samjhaya.

Dost hi tha jo dost k kaam aaya,
Yahi tha vo, jo mein samajh paya.

Iss baat par rab nae tab stamp lagai,
Jab meri jindagi mein Mandvi aayi.

Usme tha meine sacha dost paaya,
Kyonki pehli baar dost k chehre mein rabb nazar aaya.

Dur hokar bhi vo mere paas hai,
Shayad issiliye vo sab se khas hai.

Uski khoobiyaan mein kya batau,
Shayad hi sab yaha likh pau.

Uski har adda pe mein marta tha,
Yaha tak ki handwriting ki copy karta tha,
Handwriting uski kamaal thi
Drawing bhi bemissal thi.

Ab thoda direction badalta hun,
Apne dusre dost ki aur le chalta hun.
Inko hum aaj bhi chahte hai,
Hitler keh keh k bulate hai.

Inse hum khoob dra karte thae,
Kyonki yeh class k monitor hua karte thae.
Monitor bann k inhonae humari khoob lagai,
Issiliye to inhonae, HITLER ki upadhi hai paayi.

Hum aaj bhi unse darte hai,
Aur kahi na kahi marte hai ;)

Ab jab, inko yaad kar liya,
To unn kamino ko kaise bhul jaye,
Jiske sath humne thae coaching mein pal bataye.

Ek to sindhi aur doosre nae apne aap ko Topa kahalvaya,
Uski harkato ka humne khoob majak banaya.
Saala ladka hoke ladkiyon wali harkate karta tha,
Kabhi kabhi baatein chupa lia karta tha.

Sindhi tha ek number ka harami,
Harek ki baat mein usne thi apni taang adani.
Uske sath mil k khoob aakhein sekka karte thae,
Aate jaate har ladki ko dekha karte thae.

Ab aa jati hai college ki baari,
Unn sab dosto mein thi Tyagi ne baaji mari.

Usne college mein school life dikhai,
Aur Mandvi bann k samne aayi.
Pehle to vo Chavanni lecture bunk karvati thi,
Aur fir teacher ki tarah padhati thi.

Uski jaisi hi ek aur thi,
Par dono k beech ki tooti door thi,
Aathani keh k hum usse bulate thae,
Aur din bhar dono ko pakate thae.

Chavanni aathani ki khoob Jodi thi,
Jo kisi ki nazar nae todi thi.

Ab aapko uske barre mein batate hai,
Jiske naam se dil k taar hil jate hai,
Hum BANSAL usse bulate thae
Kyonki Richa k naam se kuch aur hi khayaal umad aate thae.

Vo ladki hokar bhi, ladko ka band bajati thi
Baton baton mein esse comment jo maar jati thi.

Aasli waqt to tha meine hostel mein bitaya,
Kyonki wahi thi meine sabse niraale dosto ko paaya.
Sab ki apni ek alag hi khoobi thi,
Jo kisi na kisi ko le doobi thi.

Pehle Udit naam ka ek aacha dost tha payya,
Par uss-say dil ka rishta na jud paaya.
Fir aayi SU-30 MKI ki baari,
Jiski hum sab ne mil k khoob maari.
Saala suwar jaise harkate jarur karta tha,
Par dosti ka matlab khoob samajhta tha.

Kuch dosto ka to sirf naam hi bataunga,
Kyonki unke barre mein kuch nai likh paunga.
Agar likhne ki koshish ki, to aakhon mein aasun aa jayenge,
Aur vo hume dubara uss waqt mein le jayenge,
Waha jate hi mein kho jaunga,
Fir kya khaaq yeh sab likh paunga.

Saigal Sahab aur Baniya tab yaad aate hai,
Jab bhi dosto ki mehfil mein hum baith jaate hai.

Ek aakhri dost tha meine esse paaya,
Jisne tha college aur professional life mein fark bataya.
Ab to dubara mujhe vo din yaad aaya,
Jab teacher nae 'A Friend in need is a Friend in Deed ' tha padhaya.

Usne bhi hum eek naya lesson padhaya,
Jab dosti ka professional matlab samne aaya.

'In need one is a Friend, otherwise a Dead end'
Yeh tha concept jo unhonae lagaya,
Aur mera khoob dil dukhaya.

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Dedicated to all my friends
COMMENTS OF THE POEM
Sania Khan 29 July 2018

VERY NICE POEM . I LOVED IT VERY MUCH

0 0 Reply
Shivangi 12 May 2018

Luv ur poem. I just want to say yaari yahi to h

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
SINGH SINGH

SINGH SINGH

INDIA (Kanpur)
Close
Error Success