Na Jaane Raß Ne Humko Itii Jaldi Bada Kyu Bana Diya Poem by Gaurav Arora

Na Jaane Raß Ne Humko Itii Jaldi Bada Kyu Bana Diya

na jaane kyu aisa lgta hai
jaise meri ye zindagi samandar jaisi h
jo beh rhi h bina kisi manzil k

Kabhi pehli bar school jaane me dar lagta tha.,
Aaj har rasta khud hi chunte hain..
Kabhi mummy-papa ki har baat sacchi lagti thi.,
Aaj unhi se jhooth bolte hain...
Kabhi chhoti si chot kitna rulati thi.,
Aaj DIL tOOt Jaata HaI FIR bhi SAMBHAL jaate
hain..
Pehle dost bas saath khelne tak yaad rehte thay.,
Aaj kuch dost jaan se zyada pyaare lagte hain..

€k din tha jab pal me ladayi., usi pal me manana to roj ka kaam tha.,
Aaj ek baar jo juda hue to rishte tak kho jaate
hain...
Sachi., zindagi ne bohot kuch sikha diya...
na jaane Raß ne humko itii jaldi bada kyu bana diya....

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success