Naya Saal Mubarak Poem by Suhail Kakorvi

Naya Saal Mubarak

Ho sab ko mubarak ye naye saal ka jalwa
H o jaye wafaon ka har ek samt ujala
Iss saal jo kehna wahi karna to maza hai
Sunder wahi wada hai jo ho jaata hai poora
Koi bhi taraqqi nahi ho sakti bina sach
Duniya me saphal wo hai jo jazbon men hai sacha
Pad jayen qadam jiske jahan ho wahi manzil
Saakaar ho har eik ne dekha hai jo sapna
Gulshan men mere aaye to sheetal he pawan aaye
Taqdeer men iski na koi gham ho khudaya
Ummid jaga do ki jo mayoos hain unmen
Paighaam yahi le ke ubharta hai sawera
Qudrat bhi meherbaan rahe gi ye samajh lo
Achha jo karoge to milega tumhen achha
Barsao wafaon ke hasin phool dilon par
Rangeeno hasi'n hai ye naye saal ka tohfa
Apni to Suhail aik yahi aik dua hai
Bas range mohabbat se nikharti rahe duniya

Friday, January 1, 2016
Topic(s) of this poem: life
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success