Nazm... Koi Anjana Sa Tha Woh Poem by Khatab Gulzar

Nazm... Koi Anjana Sa Tha Woh

Koi anjaana sa tha woh dil main thikana bana raha tha
Kuch der saath chla kuch khaab dikhaye usny
Uski jabein pr jaise chaand tha
Khaamosh labhun pr shoor tha koi
Usky husn ka toh jawaab nahi
Woh hakikat thi khwaab nahi
Uska parihan sada tha lakin usy khaas bana raha tha
Najaane kyun kuch der baad usny muskura diya
Khamoosh labhun ka hujra mita diya
Masoom hasi ky saath mithi awaaz uski
Aik lazat mili mera kaano ko
Aur fr meri kalm ny chalna shuru kiya
Usy dekhteh dekhteh maineh aik nazm likh dali

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success