(Dwar Khulta Hai.)
(Pashu Ek Jagah Aaram Karna Chahta Hai)
Pashu- Vishram karne ki Jagah dekh Prasann hua hai mera man. Vyartha Nahi jane doonga
Yeh Shan.
(Pashu vahan Vishram karta hain. Vahan ek Manav Ata hain.)
Marg mein apke karan ho rahi hain Badha utpann yadi marg spasth karne me karoge sahayta
toh prasann hoga mera mann.
(Pashu krodhit swar mein kahta hain)
Vishram lete hue aa raha tha muzhe anand parantu apke karan meri prasanata hui bhang.
Manav- Apse ladai karne ka nahi tha mera hetu kya tumhare krodhit hone ka jaan sakta hoon
Karan Vada karta hoon sadaiv rahega mitrata ka acharan.
Pashu- Ek prashn karna chahta hain mera man kya hoti hain apki patikriya Yadi Aswasth
hota hain apka mann.
Manav- Uttar hai saral Aspatal hain iska hal.
Pashu- Yadi Vah Aspatal apne Karmachariyon ko vetan aivam ChikiTsak Suvidhay dene mein
hai asamarth to apka chayan hoga vyarth.
Manav- Apke kathan main ek swikar karne ki baat mera agla kadam hoga us aspatal ko sudhar
lane mein jutayunga hath.
Pashu- Yadi yah dushya hoga pashuyo se sambandhit kya unhe sahayta karne me rahoge upasthit.
Manav- Yadi yah drushya se vastavik rup se app hai sambandhit krupaya margdarshan kare
apko madad karne hetu tatasth hain mera man.
Pashu- Jab shekdo ki tadat main meri vyatha se honge log parichit tab nyay se hoga yeh
drushya parichit.
Manav- uthao kalam aur is vishay ke prashasan adhikariyon ko kare sahayta ki guhar.
(Manav jari rakhta hain)
Samajik upkarano dwara karo apne vicharo se apna sammelan is prakar lo pashuo ko bachane
ka pran.
Pashu- Swayamsevak ban kar batao us aspatal ko bachane ki mahatvata.
Manav- Pashuo ka patan hoga nischit yadi uchit vakt par nahi ki shigrata.
Manav- deke apne suzhav karo ek sakriya sambhashan is prakar lo pashuo ki raksha ka
pran.
Manav- Apka sammelan dekh raha hain rah. Avashyak hain apke thos kadam
Pashu- Mera Bhavishya hain apke hathon par nirbhar Atyavashyak hain sakaratmak rup me
apka swar
Manav- yadi ap rahte hain nishkriya Shekdo nirapradh pashuo ke mrutyu mein honge Ap
jane anjane mein sakriya
Pashu- Yadi Sanvedanshilta nahi hain ek sambhavna krurta ka chayan kar mat kijiye
Krurta ki prastavna.
Dono- Jab sekdo ki tadat mein log rahenge Ekjut hokar upasthit tab nyay se hoga woh drushya
parichit.
ASSIST THE NOIDA SHELTER HOUSE FINANCIALLY AND BY GIVING SUGGESTIONS
WHICH IS GOING TO SHUT DOWN DUE TO LACK OF MEDICAL FACILITIES PROVIDED
TO ANIMALS. THE CLOSING OF THIS SHELTER HOUSE WILL RESULT IN SEVERAL
DEATHS DUE TO STARVATION HENCE PLEASE COME FORWARD TO HELP FROM
BEING SHUT DOWN
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem