Rishtey Poem by shaina quereshi

Rishtey



Rishtey....

Apke ansu hume rula kyu dete hai?
Kyun apke dard se hum tadap uthte hai?
Rishtein to kab ke tod diye hai humse apne...
Toh ab hai yeh kaise tar,
Jo aaj bhi jude hue hai.

Taron k niche baithe,
Kitnei raaton k guzarne ka humne intezaar kiya hai.
Bina palkein jhapkaen,
Kitnei din hum baithe rahe darwaze pe nazrein tikaye.

Aap kyu kabhi na wapas aaye...
Ye intezar k lamhekyu kabhi na khatam hue...

Toh kyun aapke ansuon se yeh dil ro uthta hai?
Apki bewafai ko itni jaldi kaise bhul jaata hai?
Waada karke chod gaye the aap...
Sapno ki kitnei tasweeron ko tod gaye the aap...
Gunaah kar diya tha humne.
Apni naadani mein dard de diya tha apko humne.
Par, kaise maan liya aapne ki hum aapko dokha de sakte hai?
Kaise galti aur gunaah mein fark nahin kar pae aap?

Kya nahin jante the aap....
Apke ansu kaise hume jhanjhor dete hai?
Aapka ghum tod deta hai hume...
Ghum hum nahin de sakta hai ye dil aapko,
Is dil mein hai sirf mohabbat apke,
Itna chaha hai is dil ne aapko.

Kaise maan gaye aap,
Is hi dil par nafrat de sakti hai dastak?
Aap kyun nahi samajh paye hume!
Bewafai toh aap bhi kar gaye humse...

Par aapke liye aaj bhi utna hi pyar hai is dil mein...
Intezar mein aaj bhi hum darwaze par nazrein tikae...

Apke liye hamara ye pyar hi,
De jaata hai ansu hume...
Dukh nahi hai apki yaad mein hume rote hue...
Kuch Rishtein kabhi khatam nahi hote...
Ansuon k saath ho jaate hai yeh aur gehrein!

COMMENTS OF THE POEM
Ernest Lee Clary 22 January 2009

THIS POEM HAS A GOOD RYTHM, BUT I DONT HAVE A CLUE WHAT IT SAYS

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
shaina quereshi

shaina quereshi

lahore, pakistan
Close
Error Success