(DWAR KHULTA HAI)
Samanya Manav- Meri Pida Mangti Hai Vishesh Dhyan. Jab Mere Pida par hogi Kai Logo ki Upasthiti Tab Badlegi Paristhiti.
Sipahi- Aisi Teri Pida main kya hai Vishesta Jo tu Logo ko Tatasth Rehne ki kar raha hain Apeksha.
Samanya Manav - Main To Nirantar Karta raha Nyay ka Prayas Kintu Prapt hua matra Uphas.
Sipahi- Yadi Purna Baat Batane main hain tu Asamarth Tujhse Vartalap Karna Hoga Vyarth.
Samanya Manav- Mujhpar to Sadaiv hua hai Atyachar kabhi Hinsachar to kabhi Brasth Karmachariyon ka Shikar.
Sipahi- Teri Pida hain Apneap mein Pareh Kintu Meri Pida bhi hai ek saman.
Samanya Manav- Aap ke Samarpan Aivam Balidan ko hai mera Naman Apki Pida se Vyatit hain mera man.
Sipahi- Mere Deshvasiyon ki Suraksha hetu Hoon mein Sadaiv Upasthit Kintu Meri Pida se hain
Kai log Aparichit.
(Sipahi Jari rakhta hai)
Karke Desh ke Dushmano ka Samna ki hain maine mere desh vasiyon ki Suraksha Sunischit
Kintu mere Adhikar ko Aswikar karne liye the kai karmachari Upasthit.
Samanya Manav- Apke Samarpan Aivam Virta ka hai mujhe Pura Abhas Kintu Apke Seva ka to yeh hai matra ek Uphas.
(Samanya Manav jari rakhta hai)
Thos Kadam ki hai Avashyakta Hamare Jawan ko Nyay dilane main honi chahiye Shigrata.
(Samanya Manav Sipahi se prashna karta hain)
Samanya Manav- Apko Nyay dilane mein Sadaiv rahegi meri Upasthiti kintu apke margadarshan
ki hai Avashyakta yadi badalni hai paristhithi.
Sipahi- Tere kirdar ki Ahmiyat jane ki Shigrata Ekjut hoke Yachika Banane ki hai Avashyakta.
(Sipahi Jari raktha hai)
Yadi Yachika banane ke Upkaran nahi hai Uplabhd To Vartaman patro dwara failaiye apna shabd.
Samanya manav- Apne Vicharo aivam Pratikriyaon se lao us yojna mein Sudhar is tarah ban jao
Nyay ka adhar.
(Samanya Manav Jari raktha hain)
Atyaavashyak hain Ekjut Hone ka Chitra Jab Nyay dilane hetu Samanya manav hoga Sakriya rup se
Upasthit.
Sipahi- Tab Nyay se hoga main parichit.
Dono- Yah Chitra mangta hain Samanya manav ka Sakaratmak Yogdan Deke Ekta ka praman sunischit kare unke samarpan ko milta hai unka Samaan.
EK AUDA EK VETAN YOJNA MAIN EK JAWAN KO USKA ADHIKAR DENE KO ASWIKAR
KARNE WALE ADHIKARIYON KE VIRUDH APNA SWAR BULAND KIJIYE.
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem