Sirf Tu Poem by Nishant Pandey

Sirf Tu

Rating: 3.0

Mera gussa, yani tu...
Mera jhagra, yani tu...
Meri pitai, yani tu...
Har ek darindagi ka karan tu...

Meri muskan, yani tu...
Meri khusi, yani tu...
Mera pehla pyar, yani tu...
Mere chehre ki ronaq, yani tu...

Maa-baba dwara di gyi dard, ka karan tu..
To har dukh, ka marham v tu...
Meri jindagi, ki wajah v tu...
To gaaliyon ki barsat, ka karan v tu...

Mera sabkuch tu...
Par aj me dekh, kaisa akela yu...
Mere tutey dil, ko sambhalti v tu...
To dil tutney, se rokti v tu...

Ae behen, kurbaniyon ka bandh bna diya tune...
Jab bemar tha, soya tha me jaga tha tune...
Jab v tuta nazuk, beiman sa ye dil...
Me janta tha, lagti thi tu v roney...

Agyi ab wo zalim ghadi...
Barat thi darwaze pe khadi...
Bda he be buniyad laga wo rishta mujhe..
Tu thi dulhan ke jode me sazey...

Wo jo kal gair tha...
Aj wo he hogya apna...
Aise din ki kabi na thi umid...
Na dekha tha kabhi ye sapna...

Pta, yaad ati h teri...
Teri di hui pitai....
Aur wo bhai-pota ki mithai...
Ghar bnaya is maksn ko tune..
Ab to ye makan v apni nai lagi..
Lagti jaise ho koi andheri se gali...

Jab koi na dekhta..
Tab me akele me rota hu...
Teri yaad ati h roz...
isliye takiye pakad kr sota hu...

Mere dil ka dhadakna, yani tu...
Mera sacha pyar, yani tu...
Sapne sa lagta h yu...
Par hakikat me, vida hogi tu..
Vidaa ho gyi tu....
By: -niks

Sirf Tu
Tuesday, December 13, 2016
Topic(s) of this poem: sisterly love,missing you
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Yeh kavita hmari uss behen ke pesh h jinhone hme bhaiyo ko jine ka matlab diya..jiski dant me pyar tha aur gali me...ni gali me gali he the...miss u didi ji..
COMMENTS OF THE POEM
Prasanjeet Dutta 28 June 2017

Ek no mere yaar

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success