Suraj Poem by Shambhu Dan Mehru

Suraj

Rating: 5.0

Suraj ko kahdo ab,
tumhe hamaari marzi se ugna hoga
tumhaare waqt ki sui hum ghumaaenge
tumhari kirno, ujaalo ke nyaay
hamhe manzoor nahein
dekh lena
ujaale dusre honge, nyaay ke
aur
jis din tumhaari aag se zuda ho gayi
garmi hamari
us din
khokhle raakh ke dher bach rahoge
ab tumhaare kshitij par ubharne se
hamaari dishyein tay nahein hogi
na hi
hamari dincharya
tumhare charon taraf
chakkar lagaayegi
aur yu bhi
tum boodhe ho chale ho
tumhaari aag bhi
kam padati jaa rahi hai
dusaron ko soojhti hai, raah
tumhaari roshni se
bahut guroor hai
tumko tumhaari roshni ka
nahein hai aastha hamko
tumhare iss ujaale me
andhere se jyaada iss ujaale ne
hamein dhokha diya
parwah nahein hamein

gar kali raat chha jaaye

(jaisa ki tumne hamesha kaha hai)
uss raat ke baad
jab bhi suraj niklega
har makaan ki chhat
barabar hogi.


(This poem is about political bigwigs)


August 1969

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success