Jahan me chaman bahut
aur chaman me phool bahut
fir ye kya dawangi kar li hamne
har chaman se kaante chun baithe
Mana tumhara husn laajawab hai
Par mere ishq ka bhi jawab kahan?
Bat karne par to sabhi diwaana kahate hai
surat dekh ke bata do to koi bat bhi hai.
Har shai se dhunva uthata hai kya ye mera dil hai?
Har shai jo thhahri- thithki hai kya woh mera khayal hai?
Aji, duniya ki kya kahiye sahib?
hum to apane hi ghar me paraaye ho gaye
Maut ke hathon palane laga hai bachapan
ab jawani pe nikhaar aaye bhi kyon?
Kitani kamzor ho tum, kitana mazboor hu mein
Tumhare paas hokar bhi tumse kitna door hu mein
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem