Tashveer..! ! Poem by Vinod Rebdiya

Tashveer..! !

Rating: 4.3

Poem: Tashveer

Jamane ki Tasveer,
Kis kadar Badlu me....
Meri to Rooh bhi aaj
Girvi padi hai.....
Vaha kayi log so jaate hai sirf paani peekar,
Yaha to logo ko sirf apni padi hai...
Chalte rahte hai apne likhe ko poora karne me,
Yaha Taqdeer Badalne ki kisko padi hai...
Yaha Pathar ko Poojte hai
KHuda Maankar,
Insaan ko poojne ki Kisko padi hai....

Poem: Diwanggi
Mahobbat ki n jaa saki
Dushmani kar Baithe....
A Aashiq tere Didar me Manmani Kar Baithe..

Hame Kya malum thha Garbare Chaand ki Deesha,
N gaye n kabhi Jaayenge Ye thaankar hai baithe...

Teri Kasam na Khaunga Kyoki
Mahobbat hai Tujhse....
Jeene ki aarzoo me Kbr me hai Baithe...

Chaaht to bahoot thii
Tumhe chaahne ki...
Kyon iss dil ko hum deevana kar Baithe...
2
Aaj Jab Chinu Ko HotelHotel Mein Palte Dhote Dekha
Tabhi Apne Bachpan Mein Maine Jhaank Ke Dekha
Roz Naye Chamchamate Bartano Mein
Mujhe Milta Tha Man Chaha Khana
Nahi Socha Main Kabhi Bhi
Kaise Chamakte Bartan Rozana
Parishram Hota Mere Liye Bas Itna
Apne Bag Ko School Le Jana
Aur Dosto Ke Sath
Khelte Khelte Thak Jana
Kagaj Ke Note Tab Samajh Na Aate
Gullak Mein Bas Sikke Chhanchhanate
Fal Mehnat Ka Hota Hai Meetha
Meri Maa Ne Mujhe Sikhaya Tha
Par Mehnat Ka Matlab Bas
Likhna Panda Bataya Tha
Kyon Chintu Ka Bachpan Nahi Bachpan Jaisa
Kash Na Hota Duniya Mein Koi Baccha Aesa!
- Kavi Vinod Rebdiya

Chalte hai hoga kahi to apna Musafirkhana,
Hai yaad rakhna ye Rastha oro ko jo hai batana......
Paripakva nahi thaa Pallav ke Punj ke Samaan,
Fir bhi Haath me thama diya Teer or Kaman..
Maa ka Aashirwad thha duniya me naam kamana...
Yaha to Bachpan hi Tanhaiyon me Gujar Chuka thhaa...
Fir bhi chalna thaa apne Likhe ko poora karne me,
Mar me Dar thha, Vishmit thhaa Lakshya poora karne me....
Peeta ne to kah diya Kaam kar Anvarat,
Karamsheel banke Khadi karo Karmathtaa ki parat...
Ab tak to meri Dinchariyaa Dagmag Ho chuki thhi,
Ab kya seekhta Seekhne ki umr to Kho chuki thhi....
: (: (

Aaj Fir Talash thhi kisi Anjaan Ki,
ki Sarakte Kinare bhi Kankar le aate hai...

Talaash thhi Mujhe ek Aise Saksh ki,
Jo Doondh le meri Hanshi ke Piche ka Dukh...

Iccha thi Mujhe uss Ummeed ko Poora Karne ki,
Jo Dil me Boya thha Mene aaj Varso Purva...

Kuch karne ki Thaani thhi Maine,
Markar Jeene Ki Thaani thhi Mene,
Sayad Issi liye Har Koi Mujhe Aawara or Buzdil Samajhta thha...

Meri Hansi ke Piche ka Dukh,
Adarshya Thaa par Thaa Mere Beetar...
Jaroorat Thhi to bus Usse Pahchanne ki,
Yah Katheen Pariksha Thhi..
Ek sache Dost ko Jaanne Ki.....

Man me Ullash thaa,
Kyoji Tu mere Pass thaa....
Mere pass ab kuch Nahi hai Sivay..
Khali Panno Ke...

Ye Pannne Bhi N jaane Kab Bhare Jaayenge,
Kab Mere Paraye...
Apne ho Jaayenge.....

Anjaan Shahar Me Badnaami Ka Dar Thha,
Bhari Basavat me Bhi ek Soona Ghar Thaa....

uss Ghar ki Chahrdiwari Mujhe Hatlaash Karti Thhi,
Baar Baar Akelepan ka Ehsaash Dilati Thhi....

Kya Yahi meri Jindggi hai?
Kya Yahi Mera Sapna hai?

Nahi...................................! !

Mujhe Kuch Karna Hai
Kisi se Nhi Darna Hai
Musibaton se ladna Hai
Aakhir Sabko Ek Din Marna Hai...

To kyo N me Jee karke Maru,
Kaamyabi ki Mithaash Pee Karke Maru...

Ab Har Roj Mera Immtehaan Thaa,
Kyoki Iraada Mera Mahan Thaa.......... :) :)

Tashveer..! !
Thursday, July 23, 2015
Topic(s) of this poem: hindi,love and life,poem
COMMENTS OF THE POEM
Abduhoo Salamath 20 August 2016

badhiya.... bahuth khoob......

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success