Teen Saheliyan Poem by Talib Khundmiri

Teen Saheliyan

Pehli saheli:
Aao na Allah zara colllege ke bahar jaayenge
Bhool lagti hai kisi hotel mein jaakar khayengey
Subah maine chaaye toh pi thi magar khaya nahi
Kyunki Bawarchi hamara aaj ghar aaya nahi
Chaaye mummy ne banayi thi magar bad-zaiqa
Kyunki woh pakwan ka rakti nahi hai tajrooba
Mai bhi padati hoon mujhe Kitabon se fursat nahi
... Yu bhi ghar mein kaam karne ki mujhe adat nahi
Ek pyali chaaye bhi apni bana sakti nahi
Balke Mai Bawarchi khane tak bhi jaa sakti nahi
Itna padh likh kar toh ghar ka kaam kar sakti nahi
Apne college ko bhi mai badnam Kar sakti nahi
Waise ghar ke kaam toh daddy chalatey hain magar
Aajkal woh bhi Kahi bahar Gaye hain tour par
Siwa unke toh koi kaamwala hi nahi
Isliye abtak mere mu mein niwala hi nahi
Aao na Allah zara college ke bahar jaayenge
Bhook lagti hai kisi hotel mein dosha khayenge
Dusri saheli:
Aao na Allah Zara college ke bahar jayenge
Apne bus stand ka chakkar lagakar aayenge
Aaj bhi shayad woh deewana khada hoga wahan
Kuch Dino se Jo nazar aata hain mujh par meherbaan
Dekhti hi woh mujhko rakhleta hai woh seene pe haath
Sard aahein kheenchta hai phir adakari ke saath
Ghar se college tak barabar chase karta hai mujhe
Mad bhari nazron se Bus mein Gaze karta hai mujhe
Muskurakar koi filmi geet gata hai kabhi
Zer-e-lab kuch bad-badaa kar mu banata hai kabhi
Dekhte hi mujh ko seeti bhi bajata hai kabhi
Apni baayi ankh dheere se dabata hai kabhi
Nit naye andaz se aksar satataa hai mujhe
Apni Mummy ki Bahu kehkar chidhata hai mujhe
Har ghadi woh chedkar gussa dilata hai mujhe
Phir bhi jaane kyun is par pyar aata hai mujhe
Kya kahoon kitni ajran hogayi hai zindagi
Hogayi hai dillagi iski mere dil ki lagi
Ab Kitabon se bhi Allah bore hojata hai dil
Padte padte dafataan khwaabon mein kho Jata hai dil
Kya batau kis qadr betaab mera Heart hai
Haaye Allah kya Karoon Mai, woh bahot smart hai
Aao na Allah Zara college ke bahar jayeenge
Apne bus stand ka chakkar lagakar aayenge
Iski surat door hi se dekhkar aajayenge
Teesri Sehli:
Aao na Allah! Zara collage ke bahar jayenge
Apne saare group ki photo kahi kichwayenge
Imtehan toh ho chuke, ab chuttiyan hone ko hai
Aur is ke baad sab ki shadiyan hone ko hain
Kaun jane kal kahan hongey kidhar jayenge ham
Chodkar collage na janey kis ke ghar jayenge ham
Kaun Jane kis ki kismat me hai kaisa humsafar
Kisi se tekraega shayar aur kisi se doctor
Kal hamari zindagi me ajnabi aajainge
Koi safdar-baig ya abdulgani aajainge
Wafatan tabdeel apni zindagi hojayegi
Aaj ki sufiya bhi kal ki begum sufiya hojayegi
Aaj hum sab saath hain maukha na khona chahiye
Yaadgaar daur college Kuch toh hona chahIye
Apna yeh photo toh Allah best hona chahiye
Film bhi new camera latest hona chahiye
Apna make-up bhi hame kuch theek karna chahiye
Roop toh kuch aur bhi apna nikharna chahiye
Aaliyah tu apni ainak theek karlena Zara
Dilkashi bhi pyar ki ankhon mein bharlena zara
Tu bhi Rukhsana jami zulfon ko bhikrade zara
Aajka fashion yahi hai unko uljhade zara
Warna photo maang choti mein Jo khichwayegi tu
Dekhlena puri mullani nazar aayegi tu
Rasheda tu bhi Zara powder lagale gaal par
Warna humko toh tera chehra nahi aata nazar
Theek make-up mein agar photo yeh khichwayenge hum
Apsaraon se bhi beautiful nazar ayengey hum
Aaao na Allah! Zara college ke bahar jayenge
Apne saare group ka photo kahi khichwayengey....

COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 15 November 2015

Satire at its best..................10++

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success