Dukhda Apna Apna Poem by Talib Khundmiri

Dukhda Apna Apna

Rating: 4.0

Aik din kuch zan-muridon ki Kahin mehfil saji
Jis me Mozo-e-sukhan har aik ki biwi rahi

Aik ke bad aik apna gham Bayaan karne Laga
Aur koi guftagu karte hue dar ne Laga

Aik jawaan Jo tha Zara kam-kam hi ghabraya huva
Sab se pehle yu dabi aawaaz mein kehne laga

Mein bhi ab shaadi-shuda logon mein shamil hoon janab
Aap hi mein apni aazadi ka qatil hoon Janab

Goya, meri apni hi mehbooba se shaadi ho gayi
Woh magar pehle hi din se mujh pe haavi ho gayi

Aik teacher hai sikhati hai woh bachchon ko hisab
Ghar mein kar deti hai lekin mera bheja bhi kharab

Muqtalif pakwan Roz woh sab sikhati hai mujhe
Handiyon mein doii ki Surat ghumati hai mujhe

Jis tarah shagird ko apne sazaa deti hai woh
Ghar mein aate hi mujhe 'murgha' bana deti hai woh

..................

Aur is ke baad aik goshey se aayi ye sadaa
Ho ijazat toh sunao mai bhi apna majra

Mai toh shayar hoon magar begum hai meri doctor
Jiske aagey hai kalame-narm va nazuk be-asar

Jab sunata hoon gazal meethi surili taan mein
Apna injunction woh jad deti hai meri raan mein

Yu toh karti hai woh aksar shayaron ka bhi ilaaj
Saamne iske bigad jaata hai gazalon ka mizaj

dubne lagti hai shiar uske haath mein
Khafiye dam todtey hai alim sakraat mein

Lafz maine se khafa rehte hain uske saamne
Sajr ke dhaare bhi kam behte hain uske saamne

Mehfil zinda-dilaan mein daad toh paata hoon Mai
Saamne begum ke lekin hoot hojata hoon Mai
Ek shayar aur iske baad yu Goya hua
Hai bahot pur Dard meri zindagi ka waqiya

Ek hi biwi rahi bachche magar barah hue
Jin mein do hi theek nikle bakhi awara hue

Doston shadi se pehle shayari mein tha magan
Hogya kangaal Mai jab agayi ghar mein dulhan

Kharche badte hi Gaye ghar ke meri shadi ke baad
Agaya footpath par Mai, khana aabadi ke baad

Kya bataon kitni jahel hai meri bachcho ki maa
Woh samajhti hai kitab-khane ko raddi ki dukan

Usko Jane kya adawat hai Kitabon se meri
Unko chulhe mein jalakar woh banati hai kadi

Meer ka diwaan jalakar woh banati hai pulao
Sardiyon mein daag ke diwaan ka banati hai aalao

Faiz ki nazme jalakar woh banati hai kabab
Josh ki nazmon pe hojati hai khichdi lajawab

Hazrat ghalib ke diwaan par toh biryani bane
Aur mere diwaan par aadaa cup sulemani bane

Mai sunata hoon ghazal toh daad yu deti hai woh
Mu chupa leti hai apna aur roleti hai woh

Yu parakhti hai ashayar ke auzaan ko
Tolti hai woh tarazo mein mere diwaan ko

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Dukhda apna apna.
(zan-muridon ki conference)
By Talib khundmiri
COMMENTS OF THE POEM
Abduhoo Salamath 20 August 2016

Hazrat ghalib ke diwaan par toh biryani bane Aur mere diwaan par aadaa cup sulemani bane kia bath hai....maza aagaya...

0 0 Reply
Abduhoo Salamath 20 August 2016

wah waaah...kia kahney hain..

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success