Teri Ada Poem by Shrini Deewana

Teri Ada

Rating: 4.0

Tumahare sharmaane ki ada acha laga mujhko,
Tumahare chehara chupane ka ada acha laga mujhko,
Lagta tha thaam loon tujhe mein apne baahon mein,
Tere sharmon se laal hui gaalon ko choom jaoon mein.

Ai sanam tujhse jaan se bhi zyada pyaar mein karta hoon,
Mein to hoon tera Deewana tere har adaon pe marta hoon,
Yeh dooriyan jo hai hum mein bas us dooriyon se darta hoon,
Ek baar mila de hum dono ko yehi dua mein har roz subah karta hoon.

Khuda par utna vishwaas nahin hai jitna mohabbat pe hai mujhko,
Agar tujhpe koi aanch aaye to mein apne jaan bhi de doonga sanam tujhko,
Tujhse badhkar kuch bhi nahin sanam mujhe is zamane mein,
Tera agar saath nahin hai sanam to phir kya mazaa hai jeene mein.

COMMENTS OF THE POEM
Abduhoo Salamath 20 August 2016

Ai sanam tujhse jaan se bhi zyada pyaar mein karta hoon, Mein to hoon tera Deewana tere har adaon pe marta hoon, Yeh dooriyan jo hai hum mein bas us dooriyon se darta hoon, bahuth khoob.. Ek baar mila de hum dono ko yehi dua mein har roz subah karta hoon.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success