Tum Bhi Bano Khudgarzi Kabhi Kabhi Poem by Jongoni Sripriya

Tum Bhi Bano Khudgarzi Kabhi Kabhi

kabhi kabhi ye bhi zaroori hai
ki tum bhi bano zara khudgarzi
warna is duniya me jagah hi nahi
tere jaise ache dil waalo ke liye
ab in khudgazion ke bheech
jeena hoga mushkil
agar tum na bano khudgarzi kabhi kabhi...

bachpan se seekha hai
ki kabhi mat ban khudgarzi
aur baato khushiyaan hi sahi
kabhi kisi ka dil mat dukhaao
kabhi kisi se kiya vaada na thodo
ki kabhi wo khudgarzi bhi
badal de apna wo iraada
aur chode ye khudgarzi kabhi kabhi...

par ab ki duniya badal chuki hai
ki tum bhi bano zara khudgarzi
warna is duniya me jagah hi nahi
tere jaise wafaadar logo ke liye
ab in khudgazion ke bheech
tik paana hoga mushkil
agar tum na bano khudgarzi kabhi kabhi...

Tum Bhi Bano Khudgarzi Kabhi Kabhi
Friday, March 22, 2019
Topic(s) of this poem: people,selfish
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
It's always good to stay little selfish. This world has no place for completely selfless people. Most of the time the people who are good, selfless, honest are broken, sad and depressed.
In this world we need be little selfish too at a times...and make ourselves first priority and learn to love one self more than any other to stay happy and peaceful.
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success