Tum Chale Aana.. Poem by abhilasha bhatt

Tum Chale Aana..

Rating: 4.0

Jab bhi kabhi zindagi k mod par
Tumhe main yaad aaon
To tum chale aana
Main intzaar main hoon
Magar tumhare nhi
Tumhare jawaabon k
Jo sawaal tumne mujhe die hain
Laut aana tum
Jab milne ka mann kare mujhse
Main ab bhi wahin hoon
Jahan tab thi jahan main tumhara intzaar krti thi
Bus ab tumhare intzaar main nhi hoon apne jawabon k intzaar main hoon
Jab dil bhaari hoon sawalon se zindagi k
Mere paas chale aana
Kyunki mere sawaal tumhare jawaab hi jawaab hain tumhare zindagi k sawaalon k
Kyunki sawaalon main chodna mujhe tumhara faisla tha
Tumhare jawaabon ko paakar tumhe jawaab dena mera khudse rutha bharosa wapas paana hai..

Monday, January 4, 2016
Topic(s) of this poem: betrayal,life,love
COMMENTS OF THE POEM
Rishi Thakkar 04 January 2016

Milti hai rab ko ibadat sabse Par dil ki rooh se nikli ibadat kar sakta hai koi khaas... UssI prakar Milti hai mohhabbat mein wafaa logo ko Par zafaa ke dard ko bhi jo madhur ta se dhaa sakke.. Ye dard usi ko milta hai jo hota hai khaas...

0 0 Reply
Rajnish Manga 04 January 2016

जिन्हें हम अपना समझते हैं, उन्हीं रिश्तों से उपजी कशमकश और सवालों से हमें बखूबी परिचित कराती है यह कविता. इसे शेयर करने के लिए धन्यवाद.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success