Tumhare Saath Poem by ANJALI KAKATI

Tumhare Saath

Tamam jindagi kaati humne
Tak -taki laga,
Uss tat ko nihar,
Choote he jo ho jata raha,
Dur,
Bahut dur.. har baar.
Tumhare saath,
Sochte hai,
Choo hi lenge kadam,
Us tat ko…. is baar..

Tamam umr kaati humne
Becheeni me,
Us subah ka raat se,
Aur us raat ka subah se,
Palko pe liye
Na jaane kaun sa intezar.
Tumhare saath,
Lagta hai,
Jee hi lenge aakhir,
Voh subah, voh raat
Ek hi din, ek pal hi mei,
ek baar.

Tamam umr dhoondhte rahe jo
Dar dar..bhatak bhatak,
Gali gali, dastak de hr deewar,
Tumhare saath,
Shayad,
Voh mil hi gaya hai,
Haath aa gaya hai,
Jo mil ke bhi khota raha
Har baar.

Bahut jindagi jee le humne
Kuch khali, kuch aadhoore se lekar
Na janne kitne kitne aahsas,
Tumhare saath,
Na jaane kyun
Bharne laga hai khalipan
Poore se lagne lage hai…
Voh tamam aadhoore aahsas..

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success