Udaasi: 1 Poem by Mirza Sharafat Hussain Beigh

Udaasi: 1



hoon shaam se me rootha huwa aaj phir se
ghar mein hu bey ghar sa janey kab sey
hoon karwan se choota huwa aaj phir se
nahi sulaya hai mujhe aj maa ne phir se

jaaney fizavu me ye ajnabi mehak kyu hai
khushboo bulata hu paas teri naam se me
mujh se wo chin ke juda huwi yun hai
ye aagh dil ki bhujata hu sirf jaam se me

thaki haari yaadu me ab raftaar bhi nahi
kuch alsaati to kuch rehti khamosh hain
wo bewafa saath chlaney ko tayaar bhi nahi
kaha layla thi aur kaha wo faramosh hai

Wednesday, July 19, 2017
Topic(s) of this poem: loneliness,love,mother
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Three quatrains brought together.
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success