Wo Bewafa Shaks Poem by abhipsa panda

Wo Bewafa Shaks

Rating: 5.0

Tune jis shiddat se bewafaai nibhaayi hai,
hum usi shiddat se raah mod denge.
Aaaj azaadi bhi dete hain puri imandari se,
jo tujhe hum pasand nahin, hum rishtaa hi tod denge.

Jo meri fikra tujhe pehredaari lagti hai,
to is zanjir se tujhe azaad karte hain.
Hum bhi kab tak ghut ghut ke jeeyen,
aaj is pinjre se hum bhi bahaar nikalte hain.

Shikaayat to hume v bahut thi,
par meri maryaada hi mera abhimaan tha.
Tujhse jo khata huyi wo teri fitrat thi,
par sej jo saji tune gairon ke sath, wo stree jaati ka apmaan tha.

Aaj kalam aur kaagaz me teri aukaat bataane aayi hun,
apne hi ghar ke adhyaay ko logon ko sunaane aayi hun.
"Ghar ki baat ghar me rahe".. is par rok lagaane aai hun,
khuli awaaz me bewafai ka kissa sunaane aayi hun.

Monday, April 6, 2020
Topic(s) of this poem: betrayer
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success