'Wo' Poem by Sumit Ojha

'Wo'

Rating: 5.0


Wo thi to gum na hua
wo gaye to tanaha kiya
wo dard bhi sahe khusi se
wo kehti rahi ehsas pyar ka
wo thi bhi alag apni duniya main
wo chahati koi ye sun na le
wo chup bhi thi sub kuch bol ke
wo khus bhi thi kisi ke pyar main
wo na samjhi kabhi ke log alag hai
wo na jane kabhi ye pyar galat hai
wo jub roti to khud asmann rota tha
wo jo kehti agar to bhagwan na rukta
wo na sahan kar payi judai kisi ki
wo na sun saki tane sabhi ke
wo ruswa hui thi subhi ke aage
wo tadapti rahi ye sub hai jantey
wo na boli kabhi na bolne diya kisi ne
wo chal padi thi kismat ko azmane
wo sub sahkar bhi na badli kabhi
wo jo taqleef se na tuti kabhi
wo ruk na saki jine ke leye
wo muat bhi ayi akele use

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Sumit Ojha

Sumit Ojha

Ahmedabad
Close
Error Success