Rekhta Pataulvi

Rekhta Pataulvi Poems

Jo Puchha Hamara Gulistaan Nahin Hai
Hiqarat Se Bole Ke Haan Haan Nahin Hai
Idhar Tapti Rahein Udhar Jalte Sahra
Kahin Saya-e-Zulf-e-Jaanaan Nahin Hai
...

Us Munafiq Mein Wafa Karne Ka Yaara Kab Tha
Hum Jise Apna Samajhte The Hamara Kab Tha

Uske Humsaye Bacha Paye Naa Shabkhoon Se Use
...

Uff Kahan Laaee Ye Bezaari Hamein
Jeeti Baazi Lagti Hai Haari Hamein

Khatm Karna Hai Sitamgaari Hamein
...

Zalimon Ki Dheel Ka Manzar Nazar Tak Le Gaya
Hum Ghareebon Ki Duwaon Ka Asar Tak Le Gaya

Unche Mahalon Ke Tale Hai Muflison Ki Bheed Kyon
...

The Best Poem Of Rekhta Pataulvi

Jo Puchha Hamara Gulistaan Nahin Hai

Jo Puchha Hamara Gulistaan Nahin Hai
Hiqarat Se Bole Ke Haan Haan Nahin Hai
Idhar Tapti Rahein Udhar Jalte Sahra
Kahin Saya-e-Zulf-e-Jaanaan Nahin Hai
Idhar Lut Raha Hai Udhar Jal Raha Hai
Chaman Ka Koi Bhi Nigehbaan Nahin Hai
Ladane Chale Hain Fasadi Ye Kahkar
Bahut Din Se Dunia Pareeshaan Nahin Hai
Idhar Bhi Andhere Udhar Bhi Andhere
Kahin Koi Shame Farozaan Nahin Hai.

Rekhta Pataulvi Comments

Rekhta Pataulvi Popularity

Rekhta Pataulvi Popularity

Close
Error Success