Iqtidar Javed Iqtidar Javed

Iqtidar Javed Iqtidar Javed Poems

GhoRa mra hy
Kih wo agli tangon ko oper uThata hooa dil main kaheeN nachta hy
Usy maut youN aai logoN ko jaisy waba ghair laiti hy
Yakdam bRy shehr ko ghair laity hain aahista aahista jaisy mazafat
...

2.

Mein koi baat aisi naheeN kar rha
Jis ka matlab darakhtoN pih pattoN ke soorat larazta na ho
Jis ka matlab kinaroN pih darya k pani kee soorat chamkta na ho
Jis ka matlab na gilgo k andar musalsal utrata ho
...

Palak nawaz booRhy waldain kee nigah
...

Darya kinary pih phooloN ke basTi hy
PhooloN ke basti pih barish barasti hy
Din surmai' hony lagTa hy
Neelay ufuq wali neela ufuq ghair leeTi hy
...

Mahatma k sath raat ka qadeemi husn jagta
Har aik us ke saaNs say bandha hooa
Usi kee dhun meiN jagTa
Darkht, panchioyoun kee tukriaN, wahoosh, aadmi, qadeem raat
...

Mry qareeb aur bhee darakht haiN hary bhry
Magr meiN apny khandan say kaTa hooa
Kisi k saath khul k baat bhee na kar ska
Sakoon say na jee ska
...

The Best Poem Of Iqtidar Javed Iqtidar Javed

Ghoray Kee Maut

GhoRa mra hy
Kih wo agli tangon ko oper uThata hooa dil main kaheeN nachta hy
Usy maut youN aai logoN ko jaisy waba ghair laiti hy
Yakdam bRy shehr ko ghair laity hain aahista aahista jaisy mazafat

RaqassoN k beech youN ghir gya tha sia rang ghoRa
Sia rang logoN me ghirti hy jaisy twaif
Sia rang ghoRy k ghtnoN k neechy
Wo ghungroo bandhy thy jo logoN k seenoN me bajty thy
GalyaN ujaRti theeN bazar sajty thy
GhoRy ko twaif ke asli kahani thee azbar
Jsy sun k wo raqs krty hooa mar gya
Apny mathy sitaroN bhry apny mathy ko logoN k qadmoN me youN taikTy taikTy mar gya
Aisy lagta hy ghoRy k seeny me shaair ka dil tha
Wo ghoRa mry dil me ik khaab ke shkl me jagTa hy
Mry dil ka maidan me poori masti sy, nakhry sy, nazoN sy
tangoN ko ThoRi k nazdeek lata hooa mustqil bhagta hy.

Iqtidar Javed Iqtidar Javed Comments

Close
Error Success