Mahatma Poem by Iqtidar Javed Iqtidar Javed

Mahatma

Mahatma k sath raat ka qadeemi husn jagta
Har aik us ke saaNs say bandha hooa
Usi kee dhun meiN jagTa
Darkht, panchioyoun kee tukriaN, wahoosh, aadmi, qadeem raat
Deikhta tha meiN ufuq ko phaTtty darmiyan say
MeiN batN e kaainaat deikhta
Sufaid Din nikalTy deikhTa
Mein deikhta Mahatma ko
din ko apny haath par dhary hooy
dinoN ko us kee unglioN pih ghoomty mein deikhta
Har kooi tha aamny aap say kaTa hooa
Butoon sy phaTa hooa
Maqaam sy haTa hooa
Prinday inhamak say wajood us ka deikhty rhy gosht posT say alag
Jahan mein khubay hooy
Azeez dost rishtadar sy alag thalag
Nigah meiN prinday tinka tinka jorTy
K ghonsly banaa sakiN
Falak ko aur daikh laiN
Zameen ko basa sakiN
Wuhoosh, Aadmi mahatma kay saath raat raat jagTy
Wo panchioyuoN ke tarah ooncha uRTy
Aur hazar kham bnaa kag MurTy
JuRTy apny aap say
Mahatma kay jism meiN uTarTy
Phir biyaaz e kaanaat par kabhi na lafzoN ke trah ybharTy
Mein nay ik makaN banaya apny aap mein
MeiN raiza raiza ho kay uR giya tha bhaap meiN
Mahatma ko dho k meiN nay
Taza aansaooN ke dhaar sy nigah maiN biTha liya
Mahatma ko mein nay apny aap ko
Har aik shay say khali kar kay paiT mein chupa liya! ! !

Mahatma
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success