Gilgo Poem by Iqtidar Javed Iqtidar Javed

Gilgo

Mein koi baat aisi naheeN kar rha
Jis ka matlab darakhtoN pih pattoN ke soorat larazta na ho
Jis ka matlab kinaroN pih darya k pani kee soorat chamkta na ho
Jis ka matlab na gilgo k andar musalsal utrata ho
Aawy mein barish ka pani kahaN jamaa hy
Yeh whi geet hy jo zamanoN sy dohraty aaiy hain shaair
Whi naam hy surkh roomal par laRkiyaN kaRti aai hain aur whi khaab hy
Jo badan torTi neennD me jagmgaTa hy hal chal machaTa hy
Jeeny ka matlab bataTa hy
Seena ba seena rawaait ke soorat jsy sath rakhti hain naslaiN

Khudawand
Mafhoom is ka tri trh dil mein chamkta hy laikin
Khudawand
Tairy he mafhoom ke trh sehra k bay jan zarroN ke soorat hawaaoN mein uRta hy
Labraiz aankhiN youNhi to naheeN ho raheeN
Koi kanta hy jis nkalna nahe ty hy
LafzoN ka anbar mein ik yahee lafz hy jia ka maana nahee mil rha
Ik yahee phool hy jo try aur mry rasTy pih naheeN khil rha! !

Gilgo
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success