Tamaam umr maayusiyon ka kaafila raha
Jeene ka hans ke phir bhi hausla raha
Kabhi kisi ki jeet pe kabhi kisi ki haar pe
Banata apni umeedon ka ghounsla raha
Raahat mili na ek se na dooje se sukoon
Haakim kareeb tha phir bhi faasla raha
Vo aur shaks tha jo waade kar gaya
Yeh aur shaks hai jo ban hukmaraan raha
Kaafi haseen khab dekhe awaam ne
Toote hue khaabon ka magar kaafila raha
Guzaar di kisi tarah se ye zindagi
Har mukaam pe siyaasat ko magar kosta raha
......(c) 2008 Ravinder Malhotra
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem
gud work bro.....................keep it up dear....