Saare jahan se aacha
Hindustan humara
Na bijli hai na paani
Ye gulistan humara
Godi main khelti thein
Jiski huzaron nadian
Ab behte hain gande naale
Ye baghbaan humara
Parvat to sabse uncha
Humsaya aasman ka
Dharti pe dher kachre ke
Ye aashiyaan humara
Har mazhab ab sikhata
Aapas main bair rakhna
Eemaan sab ka paisa
Ye Hindustan humara
............(c) 2007 Ravinder Malhotra
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem
wah... Ravinder ji...aap ki baton me Sachchai to hai... par utna achcha Allama Iqbal ke mashhoor o maroof nazm ki kuch ziyada hi touheen hogayi lagti hai na...