Aadhunik Yug K Maata Pita Poem by Rishi Thakkar

Aadhunik Yug K Maata Pita

Rating: 5.0

1) Dekho yug khushiyon ka aaya hai, sab tarikon se vigyaan ne harsh ullas ka mahoul sajaya hai...
Log dinn raat tarrakiyon ki anant seedhi chad rahein hain, crorepati banne ka sobhagya aaj kal sabne paaya hai...
Par iss lakho croron arbon ke khel mein kahin na kahin inhone apni raat ki neend aur din ka chain gavaya hai..
Manta hun paisa zaruri hai, par paise ke liye pyaar aur apnepan ko bhool jaaye,
Aye insaan! ! ! ! ! aisi bhi kya teri majburi hai? ? ?



2) Jab sochta hun ke aaj ke zamane k baalak pe kya beet ti hogi...
Jab uski komal aankhen paiso ki aisi bhookh dekhti hogi...
Pita ki chavvi suniye...
Wo prani jo savere savere uth ke apne blackberry fones pe ungliyan firaata hai,
Bhagwaan ko yaad karne se pehele Secretary ko fone ghumata hai..
Akhbaar ke panno mein se vyaapar ki khabron ko zubani ratt jaata hai..
Bacche ko ek nazar dekh le aur ek papi de de...itne se hi bacche ka kaam chal jaata hai...
Agar maan lo kissi din pyaar se usne bacche ko khila liya...aur bacche ne uski mehengi shirt pe favara barsa diya..? ?
Samaj lo 5din ki doori pukki ho jaati, , bacche ko iss choti umar se ehsaas hone lagta maine ye kya kia.? ? ..
2min ka pyaar din mein prapt hota papa se..to baaki k 23 ghante shanta bai dhyaan rakhti...
Are zara socho aadhunik yug k pita iss bacche ke mann mein kya beet ti hogi...
Keval baccho ko khilone, aadhunik tarikon ki krida yantra kharid lene se pita ki zimmedari nai patt ti...

Kahan gaya wo pyaar jo sir pe haath ferne se darshata hai,
Bete tum chita mat karna, tumhara papa tumko har haal mein chahta hai...
Kahan gaya wo dulaar jab ek peeth ki thapthapahat baccho ko darshati..
Ke papa mujhe kitna chahte hai, unki har saans mein mujhe zindigi mein safal hone ki nayi aasha de jaati...
Ek zamana aisa hua karta thha jab baarish k din pita kandho pe baccho ko bitha ke school le jaate thhe...
Bacche chaate se apne papa ko bheegne se bachate thhe...
Aaj kal waqt ye hai, jab badi badi gaadiyon me driver hai, , , in bacchon ko school laate...
Kya zamana aaya hai, aaj kal pita aur bete ne facebook, twitter orkut mein publically like aur comment maar ke pyaar jataya hai...






3) Aadhunik yug ki maata ki baat hai nyaari...
ye hai naye zamane ki mummy kehlana chahti...
Savere uthti aaina nihaarti...rote bacche ko dekhti aur aaya aaya chillati..
Rota baccha maa ke vatsalya paana chahta hai, , naa ke aaya ke rookhe sookhe hathon ka sehrana...
Jisse dugnii HO jaati uski mata ki kami ki vednaa...
Kuch shan mein mummey gym shym karne jaati hai,
Raste mein koi bhool kar bhi aunty keh de aankhon se angarey barsaati hai...
Shanivaar ki party ki tayyari ke liye sarvathaa sundari dikhna chahti hai...
Apne bacho ke liye waqt nahi par dusro ko bacho ki dekhbaal ki nasehat ke bhaashan sunati hai...
Shoppin karne jab maharani jaati hai bacche ko naukraani sambhalti hai...
Pata nahi itni meherbaaniyan kyun karte ho..uss nirdosh bezubaan par...
PAAS RAKH KAR BHI USKO DURR RAKHTE HO...
Mann dhravibhoot ho jata hai aisa drishya ki kalpana karr...





4) Meri yaachna hai inn AADHUNIK YUG KE MATA PITA SE...
Pyaar karna sikho apni AULAAD SE...
Zyaada mushkil nahi hai ye karna...
Bus yaad karlo kiss tarah pyaar kiya karte thhe aapke maata pita, warna....
Wah waqt shigra hi aayega...
Jab aapka balak pariwaar sirf naam ka kahega antarik manovritti se sirf khudko hi chahega...
Tab rone se aankhen nahi sukhegi..
Jab akelapaan kaatne daudega aapnepan k roop mein sirf tanhaayee milegi...

Tuesday, January 5, 2016
Topic(s) of this poem: parenthood
COMMENTS OF THE POEM
Abhilasha Bhatt 05 January 2016

Amazing poem..Wo prani jo savere savere uth ke apne blackberry fones pe ungliyan firaata hai, Bhagwaan ko yaad karne se pehele Secretary ko fone ghumata hai....sach m yahi to hota h ab..wisely expressed..10 :)

0 0 Reply
Rishi Thakkar 05 January 2016

Rozmarra ki zindigi se hi kavita banti hai... Yehi hota hai soch k to vyang se hasi nikal ti hai... Thanks abhilasha :)

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success