Be-Wajah.. Poem by Rishi Thakkar

Be-Wajah..

Rating: 5.0

Kabhi kabhi sochta hun iss lafz k bare mein Bewajah..
Kya hota hai zindigi mein Bewajah
Milte nahi ajneebi yuhi
Har mulakaat ke peeche hoti hai 1 wajah.
Dosti nahi hoti bin wajah..
Khayalaat mile na mile par ek dooje ko baandhe rakhe uski bhi hoti hai ek wajah..
Kabhi kabhi sochta hun iss lafz k baare mein Bewajah

Mohhabbat hoti nahi Bewajah..
Har ishq ki dastan mein hote haseen lamhe muskurane ke
Ek dooje k samp mein rahat Milti 2 dilon ko Kuch to hote bahane ishq k
Ye pal jo ek dooje sang basar karte Milte nahi bin wajah..
Itni shiddat hoti hai mohhabbat mein yuhi dard nahi jhel paate iska aashique Bewajah....
Kabhi kabhi.........

Doorie ek dooje sang nahi hoti Bewajah..
Iske peeche hote hain abhiman ghuman aur toote ummedon ki kai wajah..
Jaante hue bhi k hoga nuksaan khud ko kyun hota insaan gussa bejawah..
Kabhi kabhi.......

Kaale baadal zindigi k aasmano mein chaate nahi Bewajah
Kahin na kahin apne kiye gaye karma hote hai Iski wajah..
Ishwar mein aastha karta nahi insaan Bewajah..
Hoti hai Iske peeche kai khwaishe aur maango ki wajah..
Kabhi kabhi.......

Sochta hun kya hota duniya mein Bewajah..
Ye jo panktiyon ko sajaye jaata hoon yahan pe uske peeche bhi hoti hai ek wajah..
Koi shrota isse padh kar muskura de likh  de ispe apni khushi Bewajah..
Zindigi mein Kuch bhi kahan hota hai Bewajah...
Kabhi kabhi sochta hun iss lafz k bare mein Bewajah..

Tuesday, January 12, 2016
Topic(s) of this poem: reason,curiosity
COMMENTS OF THE POEM
Abhilasha Bhatt 12 January 2016

Doorie ek dooje sang nahi hoti Bewajah.. Iske peeche hote hain abhiman ghuman aur toote ummedon ki kai wajah.. These lines were beautiful.....amazingly written poem....thanks for sharing :) Ishwar ko dhudhte nhi ham bewajah Koi fariyad karte nhi bewajah.. :)

0 0 Reply
Rishi Thakkar 12 January 2016

It's always a pleasure... Kavi likhte nahi Bewajah.. Har kavita mein chupI hoti hai ek wajahh

0 0
Ratnakar Mandlik 12 January 2016

Nothing happens in this world Be wajah and this theme has been very wonderfully elaborated in this beautiful poem. Thanks for sharing.10 points.

0 0 Reply
Rishi Thakkar 12 January 2016

Thank u so much😊 Like the poem says...isko likhne ke peeche bhi hai ye wajah.. Kahin aapke dil mein bhi iss dwani ne Cheda dil ka taar Bewajah...

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success