Aankh Bhar Aayi! Poem by Aarifa Almas

Aankh Bhar Aayi!

Rating: 5.0

Aankh bhar aayi!

Kitni pyaari hoti haiN inki baaten,
Daant Mei bhi pyaar chupa deti haiN...
Maa woh hasti hai Jo hamari khushi k liye..
Apne saare ghum bhula deti haiN..

Aanchal Mei unke Hai thandi chaaoN,
Dekh k unko main kyun na muskuraoN...
Mehsoos mere dil ko kar Leti Hai woh,
Mere Dard Mei ro deti Hai woh..

Bahut sataya Hai Maine, Dard bhi bahut diye haiN,
Kuch pal ki narazgi thi Jo ab maa ne bhula diye haiN..

Rabb k khazane ki wus'at toh dekho,
Paida hote hi godh mila maa ka.
Kal jiski godh hi dunya thi,
Aaj woh hi sab pe kyuN bhaari Huyi...

Oonch neech kis rishte Mei nahi,
Bas maa ke siwa Tera koi muntazir bhi nahi...
Tera shukr adaa kaise karuN Ae Rabb,
Maa ki mamta dekh aankh bhar aayi ab..

Saturday, April 16, 2016
Topic(s) of this poem: mother
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success