Ae Dost! Poem by Aarifa Almas

Ae Dost!

Rating: 5.0

Rangon ki dunya Mei Ae dost kho Jana nahi..
Ke Har khoobsurat rang waqayi Mei khushgawar nahi..

Lal Agar chunri ka rang Hai toh wohi Lal khoon Mei bhi hai kaamil...
Har rang ke do pehlu, jaise insaan Mei bhi dohre log Hain shaamil...

Safed rang ko pheeka na samajhna, ismei woh gehrayi Hai jo Har rang ko pheeka karde
Kala rang ko bura na kehna k woh Kaali raat hi Hai jo thake huye ko sulade aur daagdaar Chand ko bhi chamka de..

Friday, March 25, 2016
Topic(s) of this poem: life
COMMENTS OF THE POEM
Salman Sayeed 23 April 2016

Nice beautiful poem. Thanks for sharing

0 0 Reply
Abduhoo Salamath 22 April 2016

Rangon ki dunya Mei Ae dost kho Jana nahi.. Ke Har khoobsurat rang waqayi Mei khushgawar nahi.. behtareen sher hai..

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success