Abhi Tak Ka Safar Poem by Dharmendra Yadav

Abhi Tak Ka Safar

Ai jindagi tu hi bata meko maine kya kya nhi dekha..
Humne to tere har ek rup rang ko dekha
Duriyon me najdiki aur najdikiyon me duriyon ko ko dekha
Wafa me bewafa aur bewafai me wafa ko dekho
Rat me din aur din me rat ko dekha
Sawan ko sukhte, aur falgun ko garjate hue dekha
Ai jindagi tu hi bata meko maine kya kya nhi dekha
Gungi janta ko dekha behri satta ko dekha
Ilaj ka laeelaj aur laeelaj ko ilaj hote dekha
Lut gye bo log jinko maine sahajte hue dekha
Sahaj gye bo log jinke maine bikharte hue dekha
Ai jindagi tu hi bata meko maine kya kya nhi dekha
Dosti me maine munafiq mukhulkat ko dekha
Insan apni wasul, jamir, daw pe laga diye
Maine aise kharidar ko dekha
Insan hi insan ka na rha:
Maine is kadar insaniyat ko marte hue dekha
Mat puchho mere yar maine kya kya nhi dekha

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
This poem is written as the life I've seen so far
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success