Amaanat Poem by Comfort Zone

Amaanat

Rimjhim barasti ghataaon se saawan,
Jaise kehkasha mein lipti jazbon ki ulzhan.

Kuchh rishtey anokhey yun reh jatey aise,
Baharon ke mausam mein patjhar ho jaise.

Sulagte simat-te bujhey na kashish jo,
Paheli si roohon ki halki tapish woh.

Kuchh aisa hi rishta hai humne nibhaya,
Jo sab rishtey bikhrey, bus tumko hi paaya.

Nishigandha si kamsin tumhari yeh chaahat,
Simru main har pal jaise rab ki nazaaqat.

Chand ehsaason mein simti apni raaz-e-mohabbat,
Kuchh tumhari amaanat, kuchh hamari amaanat.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success