Ghazal
Dil kisi ka hay bat apni hay
Ishq ki wardat apni hay
Chandni aa gai hay pehlo main
Ab ye sub chand raat apni hay
Hay tumara khumar aankhon main
Piyar ki sari baat apni hay
Ishq ka imtehan apna hay
Samnay pul sarat apni hay
Hay raqeebon ka nam bus badnam
Jus nay mara wo ghatt apni hay
Aainon main hay aks sub apny
Mehr mahram ye zat apni hay
Col Muhammad Khalid Khan
Copyright 2017 Hath Par Hath
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem