Aye Insaan Tujhe Kya Ho Gaya Hai.. Poem by Rishi Thakkar

Aye Insaan Tujhe Kya Ho Gaya Hai..

Khokhle se rishte
Khokle hai log
Jane kis duniya mein jeete hai log
Yahaan rishto mein vastuon ki pramukhta Aur bhavnaon ka asti visarjan kia karte hai log
Ache Palon ko Yahaan naganya nazron se nihara jata hai
Kuch meethe pahar ke baad swaad na bigde to karele k halwe ko pirosta hai
Khushiyo ki kardra na karna aaj fashion mein bahut Inn hai
Tucch gamo ko dekhne ka nazarya versatile stylish Aur properly ghin ghin hai
Kya kahun Zindigi Zindigi se hairaan aise hoti hai
Maano daayan haste haste maddham gati mein lahoo dhoo rahi hai..
Andhkaar, Andhkaar prakash pe yu has raha hai
Dard bhi ab roo roo k thak gaya hai
Aye insaan tere andar ka devta so gaya hai...

Tuesday, July 14, 2015
Topic(s) of this poem: human nature,relationship
COMMENTS OF THE POEM
Abhilasha Bhatt 02 January 2016

Har insaan ab bas khudmain hi gum ho gya...khud ka hi ho gya....a good sharing on people and their change in behaviour :)

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success