Bharat Mein Do Chahre Rahtein Hai Poem by mihika singh

Bharat Mein Do Chahre Rahtein Hai

bharat mein do chahre rahtein hai
pyaar aur bhrashthachar sab yahi kahtein hai
hum nhi kahte har dusra vaykti bhrashth hai
per har dusra vaykti samaj ki liye kashth hai
mere yanha ‘dusra’ kahne se yah arth hai
ki jo vaykti do numbri kaam kartein hai unka jeevan vyarth hai
har vo neta jo kahta hai li mein samaj ka uudhaar karne aaya hu
vo jutha hai jo sach nhi kahta ki mein khud ka suudhaar karne aaya hu
sab apna yaa jaanphachaanvaala kahke matdaan kartein hai
phir baad mein apna gussa usko prdaan kartein hai
baad mein kyo apna pachtaavaa humko batlaate ho
sahi kya hai kya nhi kyo nahi smajhpaate ho
aaj kal tum khud hi kahte ho ki aaj ke jamaane mein apna koi hai nhi
phir apna kahkar matdaan karna kya hai sahi
pahle khud galat faisla karte ho phir khud hi marte ho
apni galati per khud hi bigadhte ho
tum apni aisi galati per kitani bedardi se rote ho
aisi harkto pe bharat maa ka pyaar bhi yu khote ho
aisi chuupi ka kya tum aachaar daaloge
nhi kabhi humein bhi sochne ka moka do kit um khade ho kar desh ko sambhaaloge
esme uus bhole bhrashth ki kya galati hai
dekho tum ne jo karna tha kiya, aab kahte ho humaare desh mein humaari hi nhi chalti hai
aab chalo beet gai jo honi thi vo ho kar tali
aage badh kar pyaar ke baagaan ko seech kar mahakaate hai sachaai ki nanhi kali
aur aab kya tum esme khush ho jaayoge
nhi ugli bar utha kar sahi vyakti ko mat dena phir dekhna jis such ke hakdaar ho vahi tum paayoge

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
I wrote it when MP was having elections with four other states.It is apparently quite comical but has a deep meaning.
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success