Chhund Poem by Shambhu Dan Mehru

Chhund

Rating: 5.0

Anajane se nukasaan ho jaye
to usse taqadir kahate hein
Koi janate se daaman me aag laga de
to usse kya kahiye?


Udati nazar se dekh lo to koi baat nahein
nazar thahra ke mat dekho, isake kuchh maayane hote hein

E jhooth! sar patak ke tere dur pe mar jaau
Kisi ki maut shayad sach ka ahsaas karwa de

Bade nadaan the hum, aasman se dil laga baithe
wo to rang badala kiye, hum jaan pe khela kiye


Mein hur chor me aadha, hur dev me aadha
mere insaan hone ka suboot hai ye.

COMMENTS OF THE POEM
Ramesh Rai 28 June 2014

Pasand aaya. achha likha hai.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success